Zindagi…. kaisi hai paheli haye.. kabhi to hasaye.. kabhi ye rulaye…
Shayad hi koi aisa ho jisne Anand movie ka ye famous song na suna ho ya use pasand na ho…kya khoob likha hai ise Yogesh ji ne aur kya khoob gaya hai Manna Dey sahab ne.. Zindagi sunne me kitna asan sa lagta hai na ye shabdh par agar samjhne ya ise suljhane jao to ye ek aisi paheli jaisi lagti hai jo sari umar bhi laga do to nahi suljhegi .. aur isiliye shayad kehte hai ke is paheli ko tension me akar suljhane ke jagah hume zindagi ko khulkar jina chahiye chahe kaisi bhi situation ho har moment ko enjoy karna chahiye aur har ek moment se hume kuch na kuch zarur sikhna chahiye… kyunki.. Zindagi ek bahut behtar shikshak hai…..
Anyways… aaplog ye soch rahe honge ke mai ye kya bakwas kar rahi hu … hai na ??? wo asal me mujhe kuch logo ne kaha ke mujhe Hindi me bhi likhna chahiye kyunki Hindi me feel hai.. so maine socha ke aaj kyun na kuch Hindi me ho jaye.. waise bhi kafi sare posts mere English me hai hi already.. usiliye aj ye try kar rahi hu.. Hindi full likhne se bhi ek problem hai mere sare readers Hindi nahi padh pate isiliye mujhe HINGLISH (Hindi in English) me likhna pad raha hai … hope aap mere is post ko bhi utna hi pyaar denge jitna apne pehle sare posts ko diya hai .. to chaliye ab befijul time waste na karke sidhe mudde ki bat par ati hu …..
To jaisa ki maine kaha ke hum jab tak zinda rehte hai Zindagi hume bahut kuch sikha jati hai .. aur agar hum apni Zindagi ko behtar banana chahte hai to hume help chahiye Education yani Shiksha ki .. kyunki shiksha hi hume shikhati hai ke hume kab kaise kya karna hai .. aur ye shiksha milti hai hume humare GURU se .. aur ye Guru koi bhi ho sakte hai – humare parents, family members, teachers etc. jo bhi hume sahi gyan de sahi raasta dikhaye hume humare zindagi ko behtar aur sahi banane me help kare wo sabhi humare guru hai… Aur aaj mai yaha inhi guruon ke bare me kuch baatein aplogo se share karna chahti hu jo ki ajkal hume dekhne ko milta hai …
Kal ki tarikh (05.09.2020) to sabko pata hi hogi .. kalka din hum TEACHER’S DAY ke nam se manate hai India me .. kal dekhna aap social media par kitna prem, shraddha, respect ka sailab ata hai logo me apne teacher’s ke prati.. chahe pure sal kuch bhi mazak udale teachers ka, koi bhi slang de de teachers ko, chahe koi bhi bat mane apni teachers ki but ye ek din sabhi arjun aur eklavya ban jate hai (exceptions bhi hote hai kuch log)…ye din bas kuch nahi ek holiday ke tarah manate hai .. ghumne jate hai, party karte, selfie lete hai aur post karte hai social media par.. Thik hai enjoy karna koi buri bat nai but jo main essence hai in sab relationships me kya ab bhi wo zinda hai humare andar? humare morals me? kya ab bhi hum usi purity, divinity ke sath apne guruon ki value, respect karte hai? Mera sawal ye hai ??? Agar nahi to kya faiyda aise dino ko celebrate karne se??? Guru chahe jo koi bhi ho ye jo guru-sishya ya teacher-student relationship hai ye decide karti hai ke hume shiksha kaisi mili hai ya milne wali hai , jispar nirbhar karti hai humari puri ane wali zindagi…. To aiye kuch pehluon ya situations par gaur farmate hai jo hume ajkal har jagah dekhne ko milta hai is teacher-student relationship me jisme me sufferer kahi teachers hai to kahi students jiske liye responsible hai kuch chije ….
- Pehle sabhi students apne guruon ya teachers ko next to God ke tarah respect karte the but ajkal wo bas a mazak ka zariya bankar reh gaye hai.. kuch unke muh par hi unki beijjati kar deta hai to koi unke pith piche unhe galiya deta hai unhe unke nam se bulata hai unki nakal karte hai unke physical appearance ka mazak banate hai.. ajkal to digitalization ka zamana hai to agar kisi teacher ko thodi bahut problem hoti hai is digital online method se padhane me to bas fir kya sab milkar chahe wo students ho ya unke parents ya management of any institution sab shuru ho jate hai us teacher ko rate karne, judge karne, illiterate, unsmart, technologically handicapped etc. bolne… mana ke ajkal sabhi ko ye sab digital technology ani chahiye ya sikhni chahiye unki betterment ke liye.. but hum ye bhul jate hai ke teachers bhi insan hai aur har kisiko thoda new chije adjust karne me ya sikhne me time lagta hai.. ajtak jinhone offline method se padhaya hai unhe online mode me switch karne me thoda sa time to lagega hi but afsos koi ye nahi sochta ya dekhta ke ye teachers kitna mehnat karte hai… but sach pucho to ye teachers ko insab se koi fark bhi nahi padta unhe to bas apne students ki progress pyari hoti hai aur bas ek hi chij chahiye hoti hai unse wo hai RESPECT aur PYAAR .. bas yehi pane ke liye wo itni mehnat karte hai din rat….kya itna sa bhi dena humare liye possible nahi hai ??? Sochiye zara………
- Ajkal teachers ko specially private tutors ya private coaching teachers ko utni respect nahi milti jitna wo deserve karte.. kuch students aur unke parents bhi aise behave karte hai unse jaise ki wo unke naukar ho jinka kam unke bachho ko bas kisi bhi tarah acche marks dila dena.. halaki wo parents ye nahi dekhte ke unke bachhe utne capable hai bhi ya nai bas unhe marks chahiye, syllabus , homework time par complete hona chahiye.. hadd to tab hoti hai jab fees tak ko leke wo bargaining start karte hai .. is lockdown me to kitne hi teachers ko online padhne ke bad bhi fees ko lekar kitni problems face karni padi… teachers online padhane ke liye sare arrangements jaise laptop, microphone, net connectivity, board, marker, camera, tripod stand etc. khud ke paiso se arrange karte hai fir din rat mehnat karke padhate hai aur unhe unki fees ke liye bhik mangna padta hai …. kya ye sahi hai ??? Sochiye zara …
- Ab tak maine bataya un chijo ke bare me jisme sufferer teachers the ab zara gaur farmaiye dusre pehlu par .. Education ya shiksha ajkal ek dirty politics ban gayi hai ya kahe ek business jaisa ban gaya hai jaha actual shiksha se kisiko bhi matlab nahi hai yaha matlab hai logo ko bas paiso se ya bas apne self desires/needs ke fulfillment hone se .. bahut sharm ki bat hai ke aksar dekhne ko milta hai ke jitne highly educated log hote hai ajkal unke hi moral sabse zyada down hote hai .. teaching profession ka mazak banakar rakh diya gaya hai ajkal ..kahi kisiko paise chahiye to, kahi sexual harassment ke case bhi samne aa jate hai…specially higher education ke field me to gandagi sabse zyada dekhne ko milti hai.. ek padhai ya ek degree ke liye kuch students ko to khud ko tak bechna padta hai kabhi kabhi… kya yehi need/objective tha education ka ??? Sochiye zara… kya faiyda aise education lekar ???
- Ye bhi dekhne ko milta hai ke ajkal jaisa paisa students ya unke parents provide karenge usi level ka teaching teachers unko dete hai… kuch aise teachers ya management of institution bhi milenge apko jinke liye students bas a blank cheque hai usse zada kuch nahi …bhad me jaye students unki padhai unki shiksha unka career unhe to bas apne bank balance se matlab hai… kuch aise hi logo ko aap dekhenge kal badi badi gyan ki baatein karte huye Dr. Radhakrishnan, Dr. APJ Abdul Kalam etc. ke bare me batate huye and khudke muh miya mitthu bante huye… wo dikhayenge ke unhe students ke pyar aur respect se kitni khushi motivation milti hai but asal me unhe ghanta fark padta hai …aise hi kuch paise ke bhuke log ko so called TEACHER / GURU mante hai …..
- Ye to huyi bat ab tak un kuch cases ki jaha par kabhi sufferer the teachers to kabhi sufferer the students… aise bhi kuch cases hai jaha par sufferer hote hai dono teachers and students .. jiske liye responsible hote hai kuch institutions ya management of that institution aur Government ya unki policies ya kuch topics jaise reservation, corruption etc. .. jinke wahjah se kitne hi truly deserving candidate ko teacher ki job nahi mil pati… aur kabhi kabhi to dekhne ko milta hai ke bribe dekar aise logon ko bhi teacher ki job mil jati hai jo klabhi teacher banne layak hi nahi the.. isse ek matra nuksan hota hai students ka jo ki humare future citizen hai.. unke career ka.. ya indirectly kahe society ka and country ka,….. aise chalte raha to in future kitne log teacher banna chahenge aur kitne hi students ko achhi education mil payegi .. iska to bas bhagwan hi maalik hai ???
Khair is last wale topic par discussion hum kisi aur post me karenge…. abhi ke liye wapas apne point par ate hai .. waise hi post bahut lamba ho gaya hai to finally mai kuch concluding lines kehkar ise yehi ajke liye end karna chahungi …. ke is student teacher relationship ko pure, divine rakhne ki koshish karni chahiye hume… education jaise noble profession ko dirty politics ya business nahi banana chahiye uski respect karni chahiye.. humare morals ko high karna chahiye hume…kyunki isime sabki bhalai hai .. every individual, society and country as well… so kal hai TEACHER’S DAY to mere according hume kal ke din bas humare teachers ko hi nahi dedicate karna chahiye balki unsabhi logo ko dedicate karna chahiye jinse hume kuch bhi sikhne ko mila ho apne life time me fir chahe wo humare parents ho friends ho teachers ho ya koi stranger hi kyun na ho hume sabki respect karni chahiye… aur meri mano to bas 5th September ko hi kyun hume har din apne guruon ka teachers ka samman karna chahiye .. kisi bhi ek din ke liye hi ye respect pyaar ko yearly fixed deposit me jama karke rakhne ki koi zarurat nahi hai ise daily kharch karna chahiye … kyunki Kabir ji ke dohe ke anusar guru hi hume humare jivan ko sarthak safal banane ka ek matra sadhan hai siksha ke through….
गुरु गोविंददोऊ खड़े, काके लागूं पांय बलिहारी गुरु आपकी, गोविंद दियो बताय
So lets broaden the perspective of TEACHER’S DAY …value and respect every teacher of our lives… kyunki hum sabhi me hi kahi na kahi ek teacher chupa hua hai.. hum apni last breathe tak kuch na kuch sikhte – sikhate rehte hai kisi na kisiko……. And please meri likhi huyi baaton ko dil par na le exceptions are always there .. kisiko hurt karne ka intention mera nahi tha….keep reading and supporting my blog..
HAPPY TEACHER’S DAY TO ALL!