• Skip to primary navigation
  • Skip to main content
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to footer

THE ANAMIKA PANDEY

  • Home
  • Privacy Policy
  • About
  • Contact Us
  • Appreciation
  • Categories
    • Social Advice
    • Education
    • Motivation
    • Women
    • Shayari

17th October 2020 by Anamika Pandey

A DIFFERENT PERSPECTIVE ON NAVARATRI

Aaj NAVRATRI ka pehla din hai… So as tradition follows sabke NAVARATRI ke messages bhi aa rahe hai… So ek wish mere taraf se bhi… Par ek different perspective ke sath…

Apne ghar ke ladko ke bare me ghee ka laddu hai teda bhi chalega aisi soch rakhne wale logo ko bhi Navratri ki hardik shubhkamnayein ..

Apne ghar ki maa ko vriddhashram me chodkar use torture karne wale logo ko bhi Navratri ki hardik shubhkamnayein…

Garbh me pal rahi us nanhi si beti ko garbh me hi bete ki chah me mar dalne wale logo bhi Navratri ki hardik shubhkamnayein…

Bete ke chah me ek aurat ko bar bar lagatar prasav pida ka anubhav karane wale logo ko bhi Navratri ki hardik shubhkamnayein…

Har kadam kadam pe aj bhi beto se kam samjhke betiyo ke sath nainsafi karne wale logo ko bhi Navratri ki hardik shubhkamnayein…

Beti ko padhake kya hoga? Beto ko padhao… Beti to ek din apne ghar chali jayegi….sasural hi uska asli ghar hai..waha use vej diya matlab uska settlement ho gaya wahi ab direct uski arthi hi waha se uthegi uska mayka me kuch nahi hai…bojh hai wo..ladkiyo ko aise bojh samjhne wale log jo bas beto ko padhana chahte hai kyunki wahi to unke khandan ka chirag hai so called vansh hai unke generation ko age le jayega..baki ladkiya to full stop lagane wali hoti hai .. wo English me kehte hai na Punctuation mark…wahi wala … Betiyo ko naukri karne ki kya zarurat? Bas bete hi karenge… Sare rituals me bas beto se hi sab kuch karane wale log jo sochte hai ke bete ke sare rituals karne se hi atma ko mukti milegi aur betiya karde to atma jail me chali jayegi aisa sochne wale logo ko bhi Navratri ki hardik shubhkamnayein…

Aj bhi dahej lene aur dene ki pratha ko chalane wale logo ko bhi Navratri ki hardik shubhkamnayein…

Bas Navratri ke 9 din Mata ki puja kar baki din apni ghar ki aurato par atyachar karne wale gharelu hinsa karne wale logo ko bhi Navratri ki hardik shubhkamnayein…

Apni behen ko ghar me chipao aur dusre ki behen ko wah kya mast kadak maal hai !!! aisa comments karne wale logo ko bhi Navratri ki hardik shubhkamnayein…

Ladkiyo ko bas apne shauk pure karne wali maal ya kahe products jiska dayra bas kitchen and bedroom tak hi hai… aise soch rakhne wali logo ko bhi Navratri ki hardik shubhkamnayein…

Din dahade ladkiyo ke upar physical torture rape molestation karne wale logo ko bhi Navratri ki hardik shubhkamnayein…

Higher education ya naukri ya kuch aur dusre field me help karne ke nam par ek rat mere sath bitao sab ho jayega aisa soch rakhne wale logo ko bhi Navratri ki hardik shubhkamnayein…

Apni biwi se bore ho gaye hai.. time – pass ya entertainment ka saman chahiye usliye bahar tak jhak karne wale logo ko bhi Navratri ki hardik shubhkamnayein…

Bas apne swarth siddhi ke liye dikhawe ke liye ladkiyo me mata ka roop dekhne wale politicians jo ki khud har dusre din ladkiyo par atyachar karte hai directly ya indirectly ..aise logo ko bhi Navratri ki hardik shubhkamnayein…

Apni biwi ko kisi dusre mard ke sath bas normally dekhke uspe shak karke uske sath torture karne wale logo ko bhi Navratri ki hardik shubhkamnayein…

Ladkiya hi ladkiyo ki dushman hoti hai…kisi aurat ko kisi dusre mard ya friend ya colleagues ke sath haste batein karte kam karte dekhke usko bina 1 second bhi lagaye bina kisi second opinion ke usko uske sath link karke uske character ko judge karne wali uske liye pareshani create karne wali Astin ki sanp aurat ke nam par dhabba jaise mahilayo ko bhi Navratri ki hardik shubhkamnayein..

Asal me to Mata ke prati bhakti bhaw rakhne wale ya Mata ke dikhaye huye rasto par to chalne manne wale bahut kam log hai par ye navratri kaho ya durgapuja in festival ke nam par chote – chote ardhnagn kapde pehen kar… cigarette drinks aur na jane kya kya drugs ka use karke khud ko updated modern fashion queen samjhne wale ladkiyo ko jo ki khud to problem me padti hi hai sath me dusre ladkiyo ko bhi problem me dalti hai ..aise ladkiyo ko bhi Navratri ki hardik shubhkamnayein…

Is festival ko bas as a holiday entertainment enjoyment selfie time samjhne wale logo ko bhi Navratri ki hardik shubhkamnayein..

Ladkiyo ke sath dushkarm karke beti jalao apradhi bachao wale logo ko bhi Navratri ki hardik shubhkamnayein…

Shadi ke bad ya kahi par bhi khud par torture hota hua dekhkar bhi awaz na uthana aur ye sochna ke hum kar bhi kya sakte hai bas torture sehna hi humare nasib me likha hai…aisa sochne wali aurato ko bhi Navratri ki hardik shubhkamnayein….

Ladkiya rat me bahar nahi jani chahiye ladke chhute sandh ke tarah ghum sakte hai jab man chahe tab tak .. ladkiyo ke sath kuch galat ho jaye to dosh ladki ka hi hoga … Shadi ke bad ladki wapas agar apne mayka aa gai to wo bojh hai mayke me nahi reh sakti ….aisi sab soch rakhne wale logo ko bhi Navratri ki hardik shubhkamnayein….

Bina karan kisi bhi ladko ke sath apna personal revenge lene ke liye unhe fasa dena aur bad me dusri innocent ladkiyo ki zindagi barbad ke liye initiative le dene wali ladkiyo ko bhi Navratri ki hardik shubhkamnayein…

Aur kin kin ko Navratri ki hardik shubhkamnayein du samjh nahi aa raha🤔….jo chhut gaye hai un category wale logo se hath jodke maafi mangti hu 🙏..

Sach kahu to mera to man hi bhar gaya hai…kisi ne sahi hi kaha hai aurato ka janm bahut hi muskhil hota hai…bas is Navratri ke is pawan avsar par Maa Durga 🙏se yehi prarthana hai ke maa hume itni shakti do ke hum sab apne andar apke chupe huye is roop ki shakti ka anubhav kar sake aur kabhi koi galat kam na kare jisse apka nam badnam ho..hum sada apke dikhaye huye marg par chale….apni bachho par sada apni kripa drishti banaye rakhna Maa🙏 …
JAI MATA DI !!!
JOY MAA DURGA !!! 🙏🙏🙏

KEEP READING, KEEP GROWING!

Filed Under: A Different Perspective, Feelings, Social Advice Tagged With: #adifferentperspective, Durgapuja, Maadurga, Navaratri

Primary Sidebar

Appreciation

Appreciate MY work by giving some amount

Recent Posts

  • उनका क्या?
  • The Rajasthan Travelogue: Journey, Architecture, Life, and People (PART – V)
  • The Rajasthan Travelogue: Journey, Architecture, Life, and People (PART – IV)
  • The Rajasthan Travelogue: Journey, Architecture, Life, and People (PART – III)
  • The Rajasthan Travelogue: Journey, Architecture, Life, and People (PART – II)
  • The Rajasthan Travelogue: Journey, Architecture, Life, and People (PART – I)
  • Architecture of Sikkim
  • ARCHITECTURE OF TAMIL NADU
  • ARCHITECTURE OF TAMIL NADU
  • ARCHITECTURE OF TELANGANA

Pages

  • About Us
  • Appreciation
  • CATEGORIES
  • Contact Us
  • Privacy policy

Archives

  • January 2023
  • December 2022
  • October 2022
  • July 2022
  • June 2022
  • January 2022
  • December 2021
  • November 2021
  • August 2021
  • July 2021
  • June 2021
  • May 2021
  • April 2021
  • March 2021
  • February 2021
  • December 2020
  • October 2020
  • September 2020
  • August 2020
  • April 2020
  • March 2020
  • December 2019

Categories

  • A Different Perspective
  • Architects and their works
  • Architecture
  • BOOK SUMMARY
  • current scenario
  • Economy
  • EDUCATION
  • Environment
  • Feelings
  • Hinglish
  • LIFE
  • Motivation
  • Poems
  • Qualities
  • Shayari
  • Social Advice
  • Spiritual
  • SUCCESS
  • Uncategorised
  • Women

Categories

  • A Different Perspective
  • Architects and their works
  • Architecture
  • BOOK SUMMARY
  • EDUCATION
    • current scenario
    • Economy
  • Environment
  • Feelings
  • Hinglish
  • LIFE
  • Motivation
  • Poems
  • Qualities
  • Shayari
  • Social Advice
  • Spiritual
  • SUCCESS
  • Uncategorised
  • Women

Recent Comments

    Categories

    • A Different Perspective
    • Architects and their works
    • Architecture
    • BOOK SUMMARY
    • current scenario
    • Economy
    • EDUCATION
    • Environment
    • Feelings
    • Hinglish
    • LIFE
    • Motivation
    • Poems
    • Qualities
    • Shayari
    • Social Advice
    • Spiritual
    • SUCCESS
    • Uncategorised
    • Women

    Footer

    Recent Posts

    • उनका क्या?
    • The Rajasthan Travelogue: Journey, Architecture, Life, and People (PART – V)
    • The Rajasthan Travelogue: Journey, Architecture, Life, and People (PART – IV)
    • The Rajasthan Travelogue: Journey, Architecture, Life, and People (PART – III)
    • The Rajasthan Travelogue: Journey, Architecture, Life, and People (PART – II)
    • The Rajasthan Travelogue: Journey, Architecture, Life, and People (PART – I)
    • Architecture of Sikkim

    About Site

    Theanamikapandey is an independent blog.
    In this blog you can get information about a lot of topics.

    Copyright © 2023 · Executive Pro on Genesis Framework · WordPress · Log in