
Aj fir tumhara janamdin hai aya..
Kya du tumhe tohfa ye hume samajh na aya..
Isiliye apne ehsaaso ko humne aj hai shabdo me sajaya..
Padhkar batana tumhe ye nazrana kitna pasand aya..
Lipi, pipi, pupu, pupi najane kitne hi namo se tumhe hai humne bulaya..
Kya karu gussa aa jata hai hume thoda isiliye kitne hi bar maine tumpe hai chillaya..
Par yakeen mano jan bujhkar kabhi bhi humne sapne me bhi tumhara dil nahi hai dukhaya..
Mil jaye tumko thoda aram apne kamo se, thoda to karle enjoy meri maa, ye kehkar tujhe kitna sataya..
Jab bhi kabhi udas hoti hu mai tumne hi hai hamesha mera hausla badhaya..
Mere sare bigde huye kamo ko tumne hi hai niptaya..
Meri sari musibato me tumne hi hai mera sath nibhaya..
Mere bina matlab ke nakhro ko tumne hi hai haskar uthaya..
Khali pet jab chhadh jata hai mera para tab tumne hi hai mujhe shant karke khilaya..
Mere dard me hamesha tumne hi hai mujhe sukun se sulaya..
Mummy papa ke tano se tumne hi hai mujhe ab tak bachaya..
Kitna pareshan kiya tumko, der rat tak tumko jagaya..
Yun to ho tum mere se dus sal chhoti par badi behen ka farz tumne hi hai hamesha nibhaya..
Dost ki kabhi koi kami tumne mujhe mehsoos na karaya..
Har pal mere sath rehne ke liye hi shayad bhagwanji ne tere jaise ek farishta hai banaya..
Aise kitni hi sari baatein hai, ye to bahut thoda hai jo humne abhi ginaya..
Par aj ye kehte hai dena hazar galiyan agar ye sath kabhi humne chhudaya..
Rahenge hum hamesha yun hi ek sath masti me chahe nautanki koi kuch bhi kitna hi bich me laya..
Aj fir tumhara janamdin hai aya..
Kya du tumhe tohfa ye hume samajh na aya..
Isiliye apne ehsaaso ko humne aj hi shabdo me sajaya..
Padhkar batana tumhe ye nazrana kitna pasand aya..